Islam mein Shab-e-Barat Ki Namaz ka koi bhi dalil nahi hai. Yeh mukhtasar logon ke duara nizad kiya gaya khud yafta din hai. Shab-e-Barat jo ki 15 Shaban ko bola jata hai, is din Nabi Karim ﷺ ne hame koi bhi khas ibadat ki takid nahi ki hai. Balki aap pure Shaban hi roja rakhte the aur pure Shaban ko hi apne barkaton wala mahina bola hai. To hame chahiye ke pure Shaban hi ibadat ko khas karein, roje rakhein aur nafli namazo ka kasrat karein. Koi bhi nayi cheez ki izad na karein jise hame Allah tala ne karne ka hukum na diya ho.
Shab-e-Barat Ki Raat Ki Ahemiyat
Shaban ka pura mahina hi barkaton wala hai. Hamein chahiye ke pure Shaban hi nafli ibadat karein. Nabi Karim ﷺ ke sunnat se hamein koi bhi Shab-e-Barat ka ahmiyat nahi milta, aur na hi hame kisi bhi hadis se milta hai. To hame chahiye ke in bato ka yakeen na karein aur na hi Shab-e-Barat ki raat ki niyat se koi bhi ibadat karein, kyunki aisi ibadat jo hame koi faida nahi de sakti aur biddat hai, use humein nahi karna chahiye. Hame chahiye ke pure Shaban ko fazilat wala mahina samajh kar puri Shaban hi nafli ibadat karein, roje rakhein, tahajjud padhein aur nafli namaz padhein.
Shab-e-Barat Ki Namaz Ki Fazilat
Shab-e-Barat Ki Namaz jo logon ka nizad kiya gaya khud yafta din hai, biddat hai. Biddat yani gumrahi ki taraf le jana. Jab ye chije jo hame gumrahi ki taraf le jati hai to zahir hai ke iski koi bhi fazilat nahi hai. Aur na hamein ye samajhna chahiye ke namaz padhna neiki ka kaam hai, lekin ye bhi jan lein ke jis cheez ki Allah tala ne hame hukum na diya ho, chahe wo namaz padhna kyu na ho, to wo hame nahi karna chahiye. Hame Allah tala ki hukum ki pairvi karni chahiye aur Nabi Akram ﷺ ki sunnat ko manna chahiye.
Shab-e-Barat Ki Namaz Ka Tarika
Shab-e-Barat Ki Namaz ki koi bhi tarika nahi hai, to zahir hai ke iski koi bhi tarika nahi hai. Balki ap tahajjud ki niyat se namaz padhein, lekin khas isi din hi sirf tahajjud ki niyat se namaz na padhein. Samjhein ki Shab-e-Barat ki koi bhi khas namaz nahi hai, balki pura Shaban hi barkaton wala mahina hai. To uspe ap tahajjud ki namaz padhein kyunki tahajjud ki fazilat bohot hai aur tahajjud namaz Allah subhanahu tala bohot pasand karta hai. Tahajjud ki namaz 2, 2 rakat karke padhne ka hukum hai, ye nafli ibadat hai, to jitni chahe padh sakte hain.
Shab-e-Barat Ki Namaz Ki Niyat
Jab Shab-e-Barat Ki Namaz biddat hai to iski koi bhi niyat nahi hai. Lihaza ise apni zindagi ki amal mein kabhi na karein, wo amal karein jo hame Allah tala ne hukum diya hai karne ke liye.
Shab-e-Barat Ki Namaz Mein Padhne Wali Duaen
Shab-e-Barat Ki Namaz nahi hoti lekin pura Shaban hi barkaton wala hai. Jo bhi dua mangni hai, ap pure Shaban mang sakte hain, apni daily namazon mein mang sakte hain, tahajjud ki namaz mein mang sakte hain.
Shab-e-Barat Ki Namaz Ka Waqt
15 Shaban ko Shab-e-Barat kaha jata hai aur is din bohot se biddati kam hote hain. Jaise ki puri raat ki namaz padhte hain bohot se log aur roza bhi rakhte hain, lekin ye sab nahi karna chahiye. Jab is din ki koi bhi namaz nahi hai to iski koi bhi waqt nahi hai, to lihaza hame ise nahi manna chahiye.
Shab-e-Barat Ki Namaz Aur Rozon Ki Ahmiyat
Shab-e-Barat Ki Namaz nahi hai aur na hi khas koi bhi roza hai. Lekin Shaban ki niyat se hame roza rakh sakte hain kyunki aap ﷺ kasrat se Shaban mein roza rakhte the. To hame bhi chahiye ke pure Shaban nafli roza rakhein.
Namaz Padhne Ki Tarika
Islam mein namaz padhne ki tarika bohot ahmiyat rakhta hai. Hamein Allah tala ki hukum ki pairvi karni chahiye aur Nabi Akram ﷺ ki sunnat ko manna chahiye. Namaz ki niyat se humare dil aur dimagh ko saaf rakhna chahiye, aur namaz padhne ka sahi tarika seekhna chahiye taake hamari ibadat maqbool ho. Namaz ke har rakat aur har dua ko samajh kar padhna chahiye aur apne amal ko sahi tarika se anjam dena chahiye.